gham-e-darun ka koi tarjuman nahin na sahi
ġham-e-darūñ kā koī tarjumāñ nahīñ na sahī
jo zaḳhm-e-dil bhī dahān-e-fuġhāñ nahīñ na sahī
ye kam nahīñ hai ki āñkhoñ meñ dil utar aayā
tumhāre sāmne muñh meñ zabāñ nahīñ na sahī
yahāñ to koī nahīñ jis kā dil hilā doge
jigar meñ tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ nahīñ na sahī
tujhī se shikva-e-dard-e-nihāñ kareñ ai dil
tire sivā jo koī rāzdāñ nahīñ na sahī
chaman meñ aag lagā dī jo barq-e-sozāñ ne
to shāḳh-e-gul pe mirā āshiyāñ nahīñ na sahī
abhī kuchh aur gharauñde banāo yādoñ ke
ġhubār-e-rāh to hai kārvāñ nahīñ na sahī
zamīñ to paañv tale hai yahī ġhanīmat hai
hamāre zer-e-qadam āsmāñ nahīñ na sahī
gham-e-darun ka koi tarjuman nahin na sahi
jo zaKHm-e-dil bhi dahan-e-fughan nahin na sahi
ye kam nahin hai ki aankhon mein dil utar aaya
tumhaare samne munh mein zaban nahin na sahi
yahan to koi nahin jis ka dil hila doge
jigar mein taqat-e-zabt-e-fughan nahin na sahi
tujhi se shikwa-e-dard-e-nihan karen ai dil
tere siwa jo koi raazdan nahin na sahi
chaman mein aag laga di jo barq-e-sozan ne
to shaKH-e-gul pe mera aashiyan nahin na sahi
abhi kuchh aur gharaunde banao yaadon ke
ghubar-e-rah to hai karwan nahin na sahi
zamin to panw tale hai yahi ghanimat hai
hamare zer-e-qadam aasman nahin na sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.