gham-e-dauran ka mudawa gham-e-jaanan bhi nahin
ġham-e-daurāñ kā mudāvā ġham-e-jānāñ bhī nahīñ
ziist dushvār nahīñ hai to kuchh āsāñ bhī nahīñ
arsa-e-dahr se ham ahl-e-junūñ ko nisbat
is kī vus.at ba-had-e-ālam-e-imkāñ bhī nahīñ
har-nafas ek ḳhalish sī hai rag-e-jāñ ke qarīb
aur nashtar koī paivast-e-rag-e-jāñ bhī nahīñ
dekhiye vaqt ne kis kis ke uḌaa.e purze
un kā dāman bhī nahīñ merā garebāñ bhī nahīñ
ek hī mard-e-haq-āgāh hai banda yā-rab
ki ye kāfir jo nahīñ hai to musalmāñ bhī nahīñ
manzil-e-ġham se guzarnā hai aur is par 'jābir'
dasht-e-vahshat meñ kisī shoḳh kā dāmāñ bhī nahīñ
gham-e-dauran ka mudawa gham-e-jaanan bhi nahin
zist dushwar nahin hai to kuchh aasan bhi nahin
arsa-e-dahr se hum ahl-e-junun ko nisbat
is ki wusat ba-had-e-alam-e-imkan bhi nahin
har-nafas ek KHalish si hai rag-e-jaan ke qarib
aur nashtar koi paiwast-e-rag-e-jaan bhi nahin
dekhiye waqt ne kis kis ke uDae purze
un ka daman bhi nahin mera gareban bhi nahin
ek hi mard-e-haq-agah hai banda ya-rab
ki ye kafir jo nahin hai to musalman bhi nahin
manzil-e-gham se guzarna hai aur is par 'jabir'
dasht-e-wahshat mein kisi shoKH ka daman bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.