gham-e-dil ko bahaar-e-be-KHizan kahna hi paDta hai
ġham-e-dil ko bahār-e-be-ḳhizāñ kahnā hī paḌtā hai
mohabbat ko hayāt-e-jāvidāñ kahnā hī paḌtā hai
nigāheñ hāl-e-dil kī tarjumānī kar hī detī haiñ
ḳhamoshī ko bhī ik din dāstāñ kahnā hī paḌtā hai
ġhubār-e-rāh rah jaatā hai pīchhe chhūT kar lekin
use phir bhī nishān-e-kārvāñ kahnā hī paḌtā hai
ye maanā vo jafā-parvar hai zālim hai sitamgar hai
magar phir bhī use ārām-e-jāñ kahnā hī paḌtā hai
burā ho yā bhalā ik aasrā hai sar chhupāne kā
ba-har-sūrat qafas ko āshiyāñ kahnā hī paḌtā hai
kisī ko jab vo mere dard kā qissa sunāte haiñ
'sa.īd' us ko hadīs-e-dīgarāñ kahnā hī paḌtā hai
gham-e-dil ko bahaar-e-be-KHizan kahna hi paDta hai
mohabbat ko hayat-e-jawidan kahna hi paDta hai
nigahen haal-e-dil ki tarjumani kar hi deti hain
KHamoshi ko bhi ek din dastan kahna hi paDta hai
ghubar-e-rah rah jata hai pichhe chhuT kar lekin
use phir bhi nishan-e-karwan kahna hi paDta hai
ye mana wo jafa-parwar hai zalim hai sitamgar hai
magar phir bhi use aaram-e-jaan kahna hi paDta hai
bura ho ya bhala ek aasra hai sar chhupane ka
ba-har-surat qafas ko aashiyan kahna hi paDta hai
kisi ko jab wo mere dard ka qissa sunate hain
'said' us ko hadis-e-digaran kahna hi paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.