gham-e-dil ko bahaar-e-be-KHizan kahna hi paDta hai
ġham-e-dil ko bahār-e-be-ḳhizāñ kahnā hī paḌtā hai
mohabbat ko hayāt-e-jāvedāñ kahnā hī paḌtā hai
kahāñ jaatā hai rahbar kaun hai aur hai kahāñ manzil
musāfir se bhī hāl-e-kārvāñ kahnā hī paḌtā hai
burā ho yā bhalā ho ik aasrā hai sar chhupāne kā
bahar-sūrat qafas ko āshiyāñ kahnā hī paḌtā hai
ye maanā vo jafā-parvar hai zālim hai sitamgar hai
magar phir bhī use ārām-e-jāñ kahnā hī paḌtā hai
ġhubār-e-rāh rah jaatā hai pīchhe chhūT kar lekin
use phir bhī nishān-e-kārvāñ kahnā hī paḌtā hai
kisī ko jab vo mere dard kā qissa sunāte haiñ
'sa.īd' us ko hadīs-e-dīgarāñ kahnā hī paḌtā hai
gham-e-dil ko bahaar-e-be-KHizan kahna hi paDta hai
mohabbat ko hayat-e-jawedan kahna hi paDta hai
kahan jata hai rahbar kaun hai aur hai kahan manzil
musafir se bhi haal-e-karwan kahna hi paDta hai
bura ho ya bhala ho ek aasra hai sar chhupane ka
bahar-surat qafas ko aashiyan kahna hi paDta hai
ye mana wo jafa-parwar hai zalim hai sitamgar hai
magar phir bhi use aaram-e-jaan kahna hi paDta hai
ghubar-e-rah rah jata hai pichhe chhuT kar lekin
use phir bhi nishan-e-karwan kahna hi paDta hai
kisi ko jab wo mere dard ka qissa sunate hain
'said' us ko hadis-e-digaran kahna hi paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.