gham-e-dil ko zamane se chhupana bhi nahin aata
ġham-e-dil ko zamāne se chhupānā bhī nahīñ aatā
hameñ to Thiik se aañsū bahānā bhī nahīñ aatā
sajā kar kis tarah rakkhī haiñ kamre meñ tirī yādeñ
agarche Thiik se ham ko sajānā bhī nahīñ aatā
rahūñgā kis tarah ḳhvāhish kī bastī meñ akelā maiñ
karūñgā kyā mujhe paisa kamānā bhī nahīñ aatā
baneñge kyā shikārī ham tumhāre sāmne jānāñ
lagānā ham ko tere sā nishāna bhī nahīñ aatā
sitam-gar āḳhirī dīdār kar lo ham chale jaa.eñ
yaqīn apnī vafāoñ kā dilānā bhī nahīñ aatā
mohabbat ko bhalā kaise samajh pāogī tum nādāñ
tumheñ to Thiik se milnā milānā bhī nahīñ aatā
chalo ab toḌ Daalo āḳhirī rishta bhī ham se tum
ye kah kar saath 'yūsuf' ko nibhānā bhī nahīñ aatā
gham-e-dil ko zamane se chhupana bhi nahin aata
hamein to Thik se aansu bahana bhi nahin aata
saja kar kis tarah rakkhi hain kamre mein teri yaaden
agarche Thik se hum ko sajaana bhi nahin aata
rahunga kis tarah KHwahish ki basti mein akela main
karunga kya mujhe paisa kamana bhi nahin aata
banenge kya shikari hum tumhaare samne jaanan
lagana hum ko tere sa nishana bhi nahin aata
sitam-gar aaKHiri didar kar lo hum chale jaen
yaqin apni wafaon ka dilana bhi nahin aata
mohabbat ko bhala kaise samajh paogi tum nadan
tumhein to Thik se milna milana bhi nahin aata
chalo ab toD Dalo aaKHiri rishta bhi hum se tum
ye kah kar sath 'yusuf' ko nibhana bhi nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.