gham-e-dil se gham-e-sud-o-ziyan tak baat aa pahunchi
ġham-e-dil se ġham-e-sūd-o-ziyāñ tak baat aa pahuñchī
mohabbat kā ḳhudā-hāfiz yahāñ tak baat aa pahuñchī
yahāñ to ho rahā thā rahzanoñ kā tazkira lekin
na jaane kyoñ amīr-e-kārvāñ tak baat aa pahuñchī
koī kartā bhī kyā phir ehtisāb-e-laġhzish-e-rindāñ
ki aate aate ḳhud pīr-e-muġhāñ tak baat aa pahuñchī
hamāre zabt ko bhī log kahte haiñ karam un kā
kahāñ tak sabr karte ham yahāñ tak baat aa pahuñchī
ḳhudā hī jaane kyā biite navāsanjān-e-gulshan par
ki ab phūloñ se baḌh kar bāġhbāñ tak baat aa pahuñchī
the apnī fat.h par nāzāñ nasheman phūñkne vaale
ḳhabar kyā thī binā-e-gulsitāñ tak baat aa pahuñchī
kise ma.alūm 'jauhar' ab ruḳh-e-insāf kyā hogā
haqīqat se chalī thī aur gumāñ tak baat aa pahuñchī
gham-e-dil se gham-e-sud-o-ziyan tak baat aa pahunchi
mohabbat ka KHuda-hafiz yahan tak baat aa pahunchi
yahan to ho raha tha rahzanon ka tazkira lekin
na jaane kyon amir-e-karwan tak baat aa pahunchi
koi karta bhi kya phir ehtisab-e-laghzish-e-rindan
ki aate aate KHud pir-e-mughan tak baat aa pahunchi
hamare zabt ko bhi log kahte hain karam un ka
kahan tak sabr karte hum yahan tak baat aa pahunchi
KHuda hi jaane kya bite nawasanjaan-e-gulshan par
ki ab phulon se baDh kar baghban tak baat aa pahunchi
the apni fath par nazan nasheman phunkne wale
KHabar kya thi bina-e-gulsitan tak baat aa pahunchi
kise malum 'jauhar' ab ruKH-e-insaf kya hoga
haqiqat se chali thi aur guman tak baat aa pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.