gham-e-duniya pe gham-e-zat pe ro dete hain
ġham-e-duniyā pe ġham-e-zāt pe ro dete haiñ
ġham ke maare hue har baat pe ro dete haiñ
ham ko ronā hai to bas aaj kā hī ronā hai
log guzre hue hālāt pe ro dete haiñ
yaad aatā hai kisī baat pe ro.e the kabhī
ab ye aalam hai ki har baat pe ro dete haiñ
ham to ḳhud moḌ diyā karte haiñ hālāt kā ruḳh
ham nahīñ vo ki jo hālāt pe ro dete haiñ
ye adā dekhī hai ham ne tire dīvānoñ kī
jis pe hañste haiñ usī baat pe ro dete haiñ
āḳhirī baar koī ham se milā thā aa kar
yaad aatī hai to us raat pe ro dete haiñ
kal jo ruḳh pher liyā karte the mujh se 'aḳhtar'
aaj vo bhī mire hālāt pe ro dete haiñ
gham-e-duniya pe gham-e-zat pe ro dete hain
gham ke mare hue har baat pe ro dete hain
hum ko rona hai to bas aaj ka hi rona hai
log guzre hue haalat pe ro dete hain
yaad aata hai kisi baat pe roe the kabhi
ab ye aalam hai ki har baat pe ro dete hain
hum to KHud moD diya karte hain haalat ka ruKH
hum nahin wo ki jo haalat pe ro dete hain
ye ada dekhi hai hum ne tere diwanon ki
jis pe hanste hain usi baat pe ro dete hain
aaKHiri bar koi hum se mila tha aa kar
yaad aati hai to us raat pe ro dete hain
kal jo ruKH pher liya karte the mujh se 'aKHtar'
aaj wo bhi mere haalat pe ro dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.