gham-e-firaq ka khaTka visal-e-yar mein hai
gham-e-firaq ka khaTka visal-e-yar mein hai
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
ġham-e-firāq kā khaTkā visāl-e-yār meñ hai
ḳhizāñ kā ḳhauf hameñ mausam-e-bahār meñ hai
nikal ke jism se āñkhoñ meñ aa ke Thahrī hai
hamārī rūh-e-ravāñ kis ke intizār meñ hai
kisī ko naqd-e-shahādat na de sakī ab tak
barā.e naam ye kauḌī tirī kaTār meñ hai
kudūrat un ko hai mujh se ye saaf sābit hai
jo ḳhat likhā hai to vo bhī ḳhat-e-ġhubār meñ hai
shab-e-firāq ke sadme uThā.ūñgā kyūñkar
sakat zarā bhī nahīñ ab to jān-e-zār meñ hai
gunāhgār rahūñ sadqe hotī hai rahmat
vo dozaḳhī huuñ ki jannat bhī iḳhtiyār meñ hai
na jāniyegā ki maiñ duur duur rahtā huuñ
tasavvur aap kā har dam mirī kanār meñ hai
dam aa ke āñkhoñ meñ dekhe to raah un kī magar
ġhazab ye hai ki taġhāful mizāj-e-yār meñ hai
shab-e-firāq kā pūchho na haal kuchh 'vahbī'
ziyāda hashr ke din se mire shumār meñ hai
gham-e-firaq ka khaTka visal-e-yar mein hai
KHizan ka KHauf hamein mausam-e-bahaar mein hai
nikal ke jism se aankhon mein aa ke Thahri hai
hamari ruh-e-rawan kis ke intizar mein hai
kisi ko naqd-e-shahadat na de saki ab tak
barae nam ye kauDi teri kaTar mein hai
kudurat un ko hai mujh se ye saf sabit hai
jo KHat likha hai to wo bhi KHat-e-ghubar mein hai
shab-e-firaq ke sadme uThaunga kyunkar
sakat zara bhi nahin ab to jaan-e-zar mein hai
gunahgar rahun sadqe hoti hai rahmat
wo dozaKHi hun ki jannat bhi iKHtiyar mein hai
na jaaniyega ki main dur dur rahta hun
tasawwur aap ka har dam meri kanar mein hai
dam aa ke aankhon mein dekhe to rah un ki magar
ghazab ye hai ki taghaful mizaj-e-yar mein hai
shab-e-firaq ka puchho na haal kuchh 'wahbi'
ziyaada hashr ke din se mere shumar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.