gham-e-firaq ragon mein utar gaya hota
ġham-e-firāq ragoñ meñ utar gayā hotā
agar maiñ tujh se bichhaḌtā to mar gayā hotā
kabhī libās kī ḳhushbū kabhī zabān kā lams
maiñ jaane kitnī hadoñ se guzar gayā hotā
do āñkheñ kab se tirā intizār kartī haiñ
to mai-kade se kabhī apne ghar gayā hotā
husūl-e-ilm ne masrūf rakhā varna maiñ
kisī ko ishq meñ barbād kar gayā hotā
mujhe hai tum se mohabbat ye us ne bolā thā
vo kaash apne kahe se mukar gayā hotā
bichhaḌne vaalā faqat ek bose se 'hāshim'
mirī jabīn pe ehsān dhar gayā hotā
gham-e-firaq ragon mein utar gaya hota
agar main tujh se bichhaDta to mar gaya hota
kabhi libas ki KHushbu kabhi zaban ka lams
main jaane kitni hadon se guzar gaya hota
do aankhen kab se tera intizar karti hain
to mai-kade se kabhi apne ghar gaya hota
husul-e-ilm ne masruf rakha warna main
kisi ko ishq mein barbaad kar gaya hota
mujhe hai tum se mohabbat ye us ne bola tha
wo kash apne kahe se mukar gaya hota
bichhaDne wala faqat ek bose se 'hashim'
meri jabin pe ehsan dhar gaya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.