gham-e-gunah se fikr-e-najat se uljhe
ġham-e-gunāh se fikr-e-najāt se uljhe
tamām umr ham afsūn-e-zāt se uljhe
tavahhumāt se ik jang thī jo jaarī rahī
sahāb-e-marg na abr-e-hayāt se uljhe
nafas nafas pe nigāheñ tirī badaltī rahīñ
qadam qadam pe na.e hādsāt se uljhe
tujhe jo maan liyā ham ne bas vo maan liyā
zabāñ sifat pe na kholī na zaat se uljhe
kabhī ḳhirad se nipaTnā paḌā kabhī dil se
taġhayyurāt se uljhe sabāt se uljhe
bahut satāyā guzishta dinoñ kī yādoñ ne
yahī nahīñ ki na.e vāqi.āt se uljhe
tazād laakh rahā phir bhī zindagī ke liye
ġham-e-anā se ġham-e-kā.enāt se uljhe
ham is zamāne meñ kis ko sunā.eñ kaun sune
dil-o-nigāh kī jin vārdāt se uljhe
bisāt-e-zīst sajā.ī tirī ḳhushī ke liye
na jiit se kabhī uljhe na maat se uljhe
hamīñ ne terī nigāh-e-ġhazab ko jhelā hai
hamīñ tirī nigah-e-iltifāt se uljhe
gham-e-gunah se fikr-e-najat se uljhe
tamam umr hum afsun-e-zat se uljhe
tawahhumat se ek jang thi jo jari rahi
sahab-e-marg na abr-e-hayat se uljhe
nafas nafas pe nigahen teri badalti rahin
qadam qadam pe nae hadsat se uljhe
tujhe jo man liya hum ne bas wo man liya
zaban sifat pe na kholi na zat se uljhe
kabhi KHirad se nipaTna paDa kabhi dil se
taghayyuraat se uljhe sabaat se uljhe
bahut sataya guzishta dinon ki yaadon ne
yahi nahin ki nae waqiat se uljhe
tazad lakh raha phir bhi zindagi ke liye
gham-e-ana se gham-e-kaenat se uljhe
hum is zamane mein kis ko sunaen kaun sune
dil-o-nigah ki jin wardat se uljhe
bisat-e-zist sajai teri KHushi ke liye
na jit se kabhi uljhe na mat se uljhe
hamin ne teri nigah-e-ghazab ko jhela hai
hamin teri nigah-e-iltifat se uljhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.