gham-e-hayat kahen dard-e-kaenat kahen
ġham-e-hayāt kaheñ dard-e-kā.enāt kaheñ
tumhāre naam se saare jahāñ kī baat kaheñ
baḌā ġhazab hai jo ham raat ko bhī raat kaheñ
uTho ki aaj to dār-o-rasan kī baat kaheñ
kisī ke da.avā-e-tamkīñ pe harf aatā hai
sañbhal ke aap zarā mere vāqi.āt kaheñ
udhar zabāñ hai ki betāb-e-guftugū hai bahut
idhar ye qaid nigāhoñ se dil kī baat kaheñ
kisī kī yaad kī ab dil bhī rahguzār nahīñ
bhare jahāñ meñ kise apnī kā.enāt kaheñ
tumhārī bazm meñ Dhalte rahe haiñ afsāne
ḳhatā muaaf agar ham bhī ek baat kaheñ
hamīñ se tark-e-mohabbat hamīñ se husn-e-sulūk
ham is maqām ko rasm-e-takallufāt kaheñ
kisī ke husn-e-taġhāful se ab to paidā hai
vo ek baat jise jān-e-iltifāt kaheñ
isī kā naam to ilhām-e-sher hai 'saifī'
ki apnī baat meñ saare jahāñ kī baat kaheñ
gham-e-hayat kahen dard-e-kaenat kahen
tumhaare nam se sare jahan ki baat kahen
baDa ghazab hai jo hum raat ko bhi raat kahen
uTho ki aaj to dar-o-rasan ki baat kahen
kisi ke dawa-e-tamkin pe harf aata hai
sanbhal ke aap zara mere waqiat kahen
udhar zaban hai ki betab-e-guftugu hai bahut
idhar ye qaid nigahon se dil ki baat kahen
kisi ki yaad ki ab dil bhi rahguzar nahin
bhare jahan mein kise apni kaenat kahen
tumhaari bazm mein Dhalte rahe hain afsane
KHata muaf agar hum bhi ek baat kahen
hamin se tark-e-mohabbat hamin se husn-e-suluk
hum is maqam ko rasm-e-takallufat kahen
kisi ke husn-e-taghaful se ab to paida hai
wo ek baat jise jaan-e-iltifat kahen
isi ka nam to ilham-e-sher hai 'saifi'
ki apni baat mein sare jahan ki baat kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.