gham-e-hayat ki pahnaiyon se KHauf-zada
ġham-e-hayāt kī pahnā.iyoñ se ḳhauf-zada
maiñ umr bhar rahā nākāmiyoñ se ḳhauf-zada
jahāñ bhī dekho ta.assub kī chal rahī hai havā
hamārā shahr hai balvā.i.oñ se ḳhauf-zada
kabhī kisī kā burā hī nahīñ kiyā phir bhī
zamāna hai mirī ḳhush-hāliyoñ se ḳhauf-zada
karam tumhārā koī be-ġharaz nahīñ hotā
hai dil tumhārī mehrbāniyoñ se ḳhauf-zada
ilāhī tujh ko ḳhabar hai ki ye tirā 'sāhir'
hai kitnā apnī pareshāniyoñ se ḳhauf-zada
gham-e-hayat ki pahnaiyon se KHauf-zada
main umr bhar raha nakaamiyon se KHauf-zada
jahan bhi dekho tassub ki chal rahi hai hawa
hamara shahr hai balwaion se KHauf-zada
kabhi kisi ka bura hi nahin kiya phir bhi
zamana hai meri KHush-haaliyon se KHauf-zada
karam tumhaara koi be-gharaz nahin hota
hai dil tumhaari mehrbaniyon se KHauf-zada
ilahi tujh ko KHabar hai ki ye tera 'sahir'
hai kitna apni pareshaniyon se KHauf-zada
- Book : Aiwan (Pg. 45)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.