gham-e-hayat ki ye dilkashi ghanimat hai
ġham-e-hayāt kī ye dilkashī ġhanīmat hai
mere qarīb na aa.ī ḳhushī ġhanīmat hai
vo zindagī jo terī yaad kī asiir rahī
kisī tarah se guzar hī ga.ī ġhanīmat hai
hayāt ma.arka-e-ġham se kam nahīñ ai dost
ye chand lamhoñ kī fursat baḌī ġhanīmat hai
ḳhudā kā shukr hai tauhīn-e-iltijā na huī
kisī ne baat mirī maan lī ġhanīmat hai
ta.alluqāt bahar-hāl barqarār to haiñ
jafā-shi.ār kī ye dushmanī ġhanīmat hai
dhaḌakte dil ko kahāñ tak sañbhāl sakte the
hujūm-e-ġham meñ sahar ho ga.ī ġhanīmat hai
koī anīs-e-ġham-e-dil nahīñ rahā ai 'tāj'
merī rafīq mirī shā.irī ġhanīmat hai
gham-e-hayat ki ye dilkashi ghanimat hai
mere qarib na aai KHushi ghanimat hai
wo zindagi jo teri yaad ki asir rahi
kisi tarah se guzar hi gai ghanimat hai
hayat marka-e-gham se kam nahin ai dost
ye chand lamhon ki fursat baDi ghanimat hai
KHuda ka shukr hai tauhin-e-iltija na hui
kisi ne baat meri man li ghanimat hai
talluqat bahar-haal barqarar to hain
jafa-shiar ki ye dushmani ghanimat hai
dhaDakte dil ko kahan tak sanbhaal sakte the
hujum-e-gham mein sahar ho gai ghanimat hai
koi anis-e-gham-e-dil nahin raha ai 'taj'
meri rafiq meri shairi ghanimat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.