gham-e-hayat ko apnao zindagi kar lo
ġham-e-hayāt ko apnāo zindagī kar lo
ab āñkheñ khol do ik pal ko raushnī kar lo
ġhamoñ ke daur meñ tum ko agar hai ḳhush rahnā
to muskurāo zarā dard meñ kamī kar lo
isī sahāre maiñ ik umr kaaT saktā huuñ
nazar se chhū ke mire ḳhat ko surma.ī kar lo
kise ḳhabar hai ki baaqī hai zindagī kab tak
ye mashvara hai ki ab mujh se dostī kar lo
ik ajnabī se sune maiñ ne tazkire apne
ab is se achchhā hai charchā galī galī kar lo
tum apnī zaat ko mahsūs kar na pāoge
tum apnī zaat se mujh ko agar nafī kar lo
bhaTak rahe ho udāsī ke dasht meñ 'āfāq'
tumheñ ye kis ne kahā thā ki āshiqī kar lo
gham-e-hayat ko apnao zindagi kar lo
ab aankhen khol do ek pal ko raushni kar lo
ghamon ke daur mein tum ko agar hai KHush rahna
to muskurao zara dard mein kami kar lo
isi sahaare main ek umr kaT sakta hun
nazar se chhu ke mere KHat ko surmai kar lo
kise KHabar hai ki baqi hai zindagi kab tak
ye mashwara hai ki ab mujh se dosti kar lo
ek ajnabi se sune main ne tazkire apne
ab is se achchha hai charcha gali gali kar lo
tum apni zat ko mahsus kar na paoge
tum apni zat se mujh ko agar nafi kar lo
bhaTak rahe ho udasi ke dasht mein 'afaq'
tumhein ye kis ne kaha tha ki aashiqi kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.