gham-e-hayat ko na-KHush-gawar kar na saka
ġham-e-hayāt ko nā-ḳhush-gavār kar na sakā
mirā zamīr mujhe sharmsār kar na sakā
ḳhirad ko nazr-e-fareb-e-bahār kar na sakā
junūñ kī aam ravish iḳhtiyār kar na sakā
na pūchh ġham kī nazākat ajiib raaz hai ye
ki maiñ nigāh se bhī āshkār kar na sakā
qalīl vaqfa-e-hastī ne kar diyā majbūr
ba-qadr-e-zauq tirā intizār kar na sakā
gham-e-hayat ko na-KHush-gawar kar na saka
mera zamir mujhe sharmsar kar na saka
KHirad ko nazr-e-fareb-e-bahaar kar na saka
junun ki aam rawish iKHtiyar kar na saka
na puchh gham ki nazakat ajib raaz hai ye
ki main nigah se bhi aashkar kar na saka
qalil waqfa-e-hasti ne kar diya majbur
ba-qadr-e-zauq tera intizar kar na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.