gham-e-hayat lab-e-shoala-bar tak pahuncha
ġham-e-hayāt lab-e-sho.ala-bār tak pahuñchā
hamārā zehn had-e-e.atibār tak pahuñchā
fusūñ ye kis kī nazar kā bahār tak pahuñchā
sukūt-e-lāla-o-gul intishār tak pahuñchā
bhaTak rahā thā junūñ rahguzār hastī meñ
na jaane kab ye ḳham-e-zulf-e-yār tak pahuñchā
sab ahl-e-bazm mire husn-e-sher tak pahuñche
magar na koī dil-e-sogvār tak pahuñche
ye kis ne chheḌ diyā sāz-e-ārzū-e-visāl
ye aaj kaun is ujḌe dayār tak pahuñchā
gham-e-hayat lab-e-shoala-bar tak pahuncha
hamara zehn had-e-eatibar tak pahuncha
fusun ye kis ki nazar ka bahaar tak pahuncha
sukut-e-lala-o-gul intishaar tak pahuncha
bhaTak raha tha junun rahguzar hasti mein
na jaane kab ye KHam-e-zulf-e-yar tak pahuncha
sab ahl-e-bazm mere husn-e-sher tak pahunche
magar na koi dil-e-sogwar tak pahunche
ye kis ne chheD diya saz-e-arzu-e-visal
ye aaj kaun is ujDe dayar tak pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.