gham-e-hayat mein jaise bhi zindagi ki hai
ġham-e-hayāt meñ jaise bhī zindagī kī hai
tumhārī yaad to lekin kabhī kabhī kī hai
jo ġham milā thā to ye chāhā ġham-e-ziyād mile
siyāh shab meñ tamannā-e-raushnī kī hai
hayāt saath meñ laa.ī hai maut kā sāmāñ
kisī ne ham se bahut ḳhuub dil-lagī kī hai
ye ġham kī raat nahīñ jis kī intihā koī
tire baġhair basar kuchh ajiib sī kī hai
nigāh-e-yār kā is meñ koī qusūr nahīñ
ki ham ne dil kī ḳharābī to aap hī kī hai
gham-e-hayat mein jaise bhi zindagi ki hai
tumhaari yaad to lekin kabhi kabhi ki hai
jo gham mila tha to ye chaha gham-e-ziyaad mile
siyah shab mein tamanna-e-raushni ki hai
hayat sath mein lai hai maut ka saman
kisi ne hum se bahut KHub dil-lagi ki hai
ye gham ki raat nahin jis ki intiha koi
tere baghair basar kuchh ajib si ki hai
nigah-e-yar ka is mein koi qusur nahin
ki hum ne dil ki KHarabi to aap hi ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.