gham-e-hijran se zara yun bhi nibhai jae
ġham-e-hijrāñ se zarā yuuñ bhī nibhā.ī jaa.e
mahfil-e-ġhair sahī aaj sajā.ī jaa.e
iḳhtilāfāt kī buniyād hai gahrī lekin
is pe nafrat kī na dīvār uThā.ī jaa.e
pahle manzil kā ham apnī to ta.ayyun kar leñ
phir zamāne ko koī raah dikhā.ī jaa.e
mai ke baare meñ ḳhayālāt badal jā.eñge
hazrat-e-shaiḳh ko thoḌī sī pilā.ī jaa.e
sab ke a.amāl pe tanqīd hai sheva jis kā
baat kirdār pe us ke bhī uThā.ī jaa.e
yuuñ hī aqvām kī taqdīr sañvartī hai 'faroġh'
ne.amat-e-ilm pe kuchh baat chalā.ī jaa.e
gham-e-hijran se zara yun bhi nibhai jae
mahfil-e-ghair sahi aaj sajai jae
iKHtilafat ki buniyaad hai gahri lekin
is pe nafrat ki na diwar uThai jae
pahle manzil ka hum apni to tayyun kar len
phir zamane ko koi rah dikhai jae
mai ke bare mein KHayalat badal jaenge
hazrat-e-shaiKH ko thoDi si pilai jae
sab ke aamal pe tanqid hai shewa jis ka
baat kirdar pe us ke bhi uThai jae
yun hi aqwam ki taqdir sanwarti hai 'farogh'
neamat-e-ilm pe kuchh baat chalai jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.