gham-e-ishq ko aazmana paDega
ġham-e-ishq ko āzmānā paḌegā
unheñ rabt-e-ulfat baḌhānā paḌegā
dar-e-yār ka.aba nahīñ phir bhī zāhid
dar-e-yār par sar jhukānā paḌegā
nishāñ us kā milnā to mushkil nahīñ hai
magar naqsh-e-hastī miTānā paḌegā
yahī hai agar merā zauq-e-nazāra
sar-e-tūr phir tum ko aanā paḌegā
sar-e-hashr dāman pakaḌ kar kisī kā
kahūñgā mujhe baḳhshvānā paḌegā
ye kahtī hai 'maḳhmūr' un kī mohabbat
mire sāmne sar jhukānā paḌegā
gham-e-ishq ko aazmana paDega
unhen rabt-e-ulfat baDhana paDega
dar-e-yar kaba nahin phir bhi zahid
dar-e-yar par sar jhukana paDega
nishan us ka milna to mushkil nahin hai
magar naqsh-e-hasti miTana paDega
yahi hai agar mera zauq-e-nazara
sar-e-tur phir tum ko aana paDega
sar-e-hashr daman pakaD kar kisi ka
kahunga mujhe baKHshwana paDega
ye kahti hai 'maKHmur' un ki mohabbat
mere samne sar jhukana paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.