gham-e-jaanan ayan na ho jae
ġham-e-jānāñ ayaañ na ho jaa.e
zindagī rā.egāñ na ho jaa.e
tū nazar hī na aa ḳhudā ke liye
phir tamanna javāñ na ho jaa.e
dil jo jaltā hai terī furqat meñ
ye dhuāñ āsmāñ na ho jaa.e
miT na jaa.e ye chāshnī ġham kī
ham pe vo mehrbāñ na ho jaa.e
guftugū meñ ho ehtiyāt tujhe
raaz dil kā ayaañ na ho jaa.e
kar rahā hai muqābla dushman
yā ḳhudā kāmrāñ na ho jaa.e
kyoñ hasīnoñ se milte ho 'nāzī'
vo kahīñ bad-gumāñ na ho jaa.e
gham-e-jaanan ayan na ho jae
zindagi raegan na ho jae
tu nazar hi na aa KHuda ke liye
phir tamanna jawan na ho jae
dil jo jalta hai teri furqat mein
ye dhuan aasman na ho jae
miT na jae ye chashni gham ki
hum pe wo mehrban na ho jae
guftugu mein ho ehtiyat tujhe
raaz dil ka ayan na ho jae
kar raha hai muqabla dushman
ya KHuda kaamran na ho jae
kyon hasinon se milte ho 'nazi'
wo kahin bad-guman na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.