gham-e-jaanan ki KHabar lati hai
ġham-e-jānāñ kī ḳhabar laatī hai
koī āvāz agar aatī hai
jaane kis samt havā kī zanjīr
khīñch kar mujh ko liye jaatī hai
kaisā aalam hai ki tanhā.ī bhī
dar-o-dīvār se Takrātī hai
nā-gahāñ aa.ī thī ham par bhī 'jamīl'
vo qayāmat jo guzar jaatī hai
gham-e-jaanan ki KHabar lati hai
koi aawaz agar aati hai
jaane kis samt hawa ki zanjir
khinch kar mujh ko liye jati hai
kaisa aalam hai ki tanhai bhi
dar-o-diwar se Takraati hai
na-gahan aai thi hum par bhi 'jamil'
wo qayamat jo guzar jati hai
- Book : chhaar khvaab (Pg. 74)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.