gham-e-jaanan mein samo kar gham-e-dauran humne
ġham-e-jānāñ meñ samo kar ġham-e-daurāñ ham ne
do fasānoñ ko diyā ek hī 'unvāñ ham ne
ġham se ghabrā ke jo kī koshish-e-darmāñ ham ne
aur bhī kāñToñ meñ uljhā liyā dāmāñ ham ne
dekheñ kyā hotā hai tajdīd-e-nasheman kā samāñ
muntaḳhab kī hai phir ik shāḳh-e-gulsitāñ ham ne
ġham se bachne ke liye vaz' kiye the jo usuul
kar diye nāzukī-e-vaqt pe qurbāñ ham ne
aaj 'muḳhtār' asīr-e-ġham-e-daurāñ hai vo dil
jis ko samjhā thā harīf-e-ġham-e-daurāñ ham ne
gham-e-jaanan mein samo kar gham-e-dauran hum ne
do fasanon ko diya ek hi 'unwan hum ne
gham se ghabra ke jo ki koshish-e-darman hum ne
aur bhi kanTon mein uljha liya daman hum ne
dekhen kya hota hai tajdid-e-nasheman ka saman
muntaKHab ki hai phir ek shaKH-e-gulsitan hum ne
gham se bachne ke liye waz' kiye the jo usul
kar diye nazuki-e-waqt pe qurban hum ne
aaj 'muKHtar' asir-e-gham-e-dauran hai wo dil
jis ko samjha tha harif-e-gham-e-dauran hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.