Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-jaanan se rangin aur koi gham nahin hota

Figar Unnavi

gham-e-jaanan se rangin aur koi gham nahin hota

Figar Unnavi

MORE BYFigar Unnavi

    ġham-e-jānāñ se rañgīñ aur koī ġham nahīñ hotā

    ki is ke dard meñ ehsās-e-besh-o-kam nahīñ hotā

    vo haiñ kam-zarf jin shor-e-nāla kam nahīñ hotā

    chaman meñ phuul bhī to haiñ unheñ kyā ġham nahīñ hotā

    kamāl-e-zabt-e-girya azmat-e-shān-e-mohabbat hai

    chhalak jaa.e jo paimāna vo jām-e-jam nahīñ hotā

    yahāñ tak dil ko aadat ho ga.ī hai be-qarārī

    sukūn-e-zindagī meñ bhī taḌapnā kam nahīñ hotā

    tumhārī yaad ke saath dhaḌkan baḌh ga.ī dil

    tasavvur se mizāj-e-husn to barham nahīñ hotā

    ḳhizāñ uljhaneñ gulchīñ khaTkā hai magar phir bhī

    kalī baaġh meñ lutf-e-tabassum kam nahīñ hotā

    kuchh aisī baat hai sayyād jo ham muskurāte haiñ

    nahīñ to āshiyāñ luTne kis ko ġham nahīñ hotā

    na jaane kyuuñ tumhāre ġham ko duniyā ġham samajhtī hai

    masarrat se to is martaba kuchh kam nahīñ hotā

    'figār' is gulshan-e-hastī ibrat-ḳhez aalam hai

    ki shabnam ro rahī hai gul hañsnā kam nahīñ hotā

    gham-e-jaanan se rangin aur koi gham nahin hota

    ki is ke dard mein ehsas-e-besh-o-kam nahin hota

    wo hain kam-zarf jin ka shor-e-nala kam nahin hota

    chaman mein phul bhi to hain unhen kya gham nahin hota

    kamal-e-zabt-e-girya azmat-e-shan-e-mohabbat hai

    chhalak jae jo paimana wo jam-e-jam nahin hota

    yahan tak dil ko aadat ho gai hai be-qarari ki

    sukun-e-zindagi mein bhi taDapna kam nahin hota

    tumhaari yaad hi ke sath dhaDkan baDh gai dil ki

    tasawwur se mizaj-e-husn to barham nahin hota

    KHizan ki uljhanen gulchin ka khaTka hai magar phir bhi

    kali ka bagh mein lutf-e-tabassum kam nahin hota

    kuchh aisi baat hai sayyaad jo hum muskuraate hain

    nahin to aashiyan luTne ka kis ko gham nahin hota

    na jaane kyun tumhaare gham ko duniya gham samajhti hai

    masarrat se to is ka martaba kuchh kam nahin hota

    'figar' is gulshan-e-hasti ka ibrat-KHez aalam hai

    ki shabnam ro rahi hai gul ka hansna kam nahin hota

    Source :
    • Book : Harf-o-nava (Pg. 50)
    • Author : umesh bahadur sirivasto figaar unnavi
    • Publication : Figaar Unnavi (2001)
    • Edition : 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now