gham-e-kaun-o-makan hai aur main hun
ġham-e-kaun-o-makāñ hai aur maiñ huuñ
nishāt-e-jāvedāñ hai aur maiñ huuñ
qafas meñ bhī maze meñ kaT rahī hai
ḳhayāl-e-āshiyāñ hai aur maiñ huuñ
kahāñ kā rāhbar aur kaisī manzil
ġhubār-e-kārvāñ hai aur maiñ huuñ
chaman hai fasl-e-gul hai chāñdnī hai
hadīs-e-dil-barāñ hai aur maiñ huuñ
ma.āl-e-imtihāñ kyā jaane kyā ho
musalsal imtihāñ hai aur maiñ huuñ
nigāh-e-barq hai aur āshiyāñ hai
nigāh-e-bāġhbāñ hai aur maiñ huuñ
'sa.īd' ab kaam kyā dair-o-haram se
dar-e-pīr-e-muġhāñ hai aur maiñ huuñ
gham-e-kaun-o-makan hai aur main hun
nishat-e-jawedan hai aur main hun
qafas mein bhi maze mein kaT rahi hai
KHayal-e-ashiyan hai aur main hun
kahan ka rahbar aur kaisi manzil
ghubar-e-karwan hai aur main hun
chaman hai fasl-e-gul hai chandni hai
hadis-e-dil-baran hai aur main hun
maal-e-imtihan kya jaane kya ho
musalsal imtihan hai aur main hun
nigah-e-barq hai aur aashiyan hai
nigah-e-baghban hai aur main hun
'said' ab kaam kya dair-o-haram se
dar-e-pir-e-mughan hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.