gham-e-sud-o-ziyan se KHud ko jo aazad rakhta hai
ġham-e-sūd-o-ziyāñ se ḳhud ko jo āzād rakhtā hai
koī mausam bhī ho dil ko hamesha shaad rakhtā hai
koī bhī haal ho shikve gile kartā hai jo sab se
kabhī hoñToñ pe naale aur kabhī fariyād rakhtā hai
zarā sī chuuk par tanqīd kī qaiñchī chalāne ko
mire sheroñ pe nazreñ gaaḌ ke naqqād rakhtā hai
kisī pyāse ko paanī se kabhī mahrūm mat karnā
ye aisā kaam hai jis ko faqat jallād kartā hai
mayassar hai sukūn-e-dil kī daulat us ko duniyā meñ
ḳhudā kī yaad se jo apnā dil ābād rakhtā hai
lagā dete haiñ baazī jaan kī jo haq-parastī meñ
zamāna aise logoñ ko hamesha yaad rakhtā hai
abhī jo sang-bārī ho rahī hai vaqt ke hāthoñ
'sa.īd' is vāste apnā jigar faulād rakhtā hai
gham-e-sud-o-ziyan se KHud ko jo aazad rakhta hai
koi mausam bhi ho dil ko hamesha shad rakhta hai
koi bhi haal ho shikwe gile karta hai jo sab se
kabhi honTon pe nale aur kabhi fariyaad rakhta hai
zara si chuk par tanqid ki qainchi chalane ko
mere sheron pe nazren gaD ke naqqad rakhta hai
kisi pyase ko pani se kabhi mahrum mat karna
ye aisa kaam hai jis ko faqat jallad karta hai
mayassar hai sukun-e-dil ki daulat us ko duniya mein
KHuda ki yaad se jo apna dil aabaad rakhta hai
laga dete hain bazi jaan ki jo haq-parasti mein
zamana aise logon ko hamesha yaad rakhta hai
abhi jo sang-bari ho rahi hai waqt ke hathon
'said' is waste apna jigar faulad rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.