gham-e-ulfat jise hasil nahin hai
ġham-e-ulfat jise hāsil nahīñ hai
vo koī aur shai hai dil nahīñ hai
maiñ gum ho kar kisī ko pā gayā huuñ
mujhe ab hasrat-e-manzil nahīñ hai
mirī barbādiyoñ par hañsne vaale
tire pahlū meñ shāyad dil nahīñ hai
na pūchho hāsil-e-ulfat na pūchho
ye hāsil hai ki kuchh hāsil nahīñ hai
ye kah kar chārāgar ne maar Daalā
ilāj-e-iztirāb-e-dil nahīñ hai
mujhe dushvār hai tark-e-mohabbat
tumhāre vāste mushkil nahīñ hai
Dubo do 'soz' tum dil kā safīna
muqaddar meñ agar sāhil nahīñ hai
gham-e-ulfat jise hasil nahin hai
wo koi aur shai hai dil nahin hai
main gum ho kar kisi ko pa gaya hun
mujhe ab hasrat-e-manzil nahin hai
meri barbaadiyon par hansne wale
tere pahlu mein shayad dil nahin hai
na puchho hasil-e-ulfat na puchho
ye hasil hai ki kuchh hasil nahin hai
ye kah kar chaaragar ne mar Dala
ilaj-e-iztirab-e-dil nahin hai
mujhe dushwar hai tark-e-mohabbat
tumhaare waste mushkil nahin hai
Dubo do 'soz' tum dil ka safina
muqaddar mein agar sahil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.