gham-e-ulfat ke manazir bhi hain pyare kitne
ġham-e-ulfat ke manāzir bhī haiñ pyāre kitne
ashk Tapke to bane chāñd sitāre kitne
umr bhar TuuTe haiñ bañdh bañdh ke sahāre kitne
kaam aate rahe hamdard hamāre kitne
yahī jiinā hai to phir maut kise kahte haiñ
jī rahe haiñ ġham-o-andoh ke maare kitne
yuuñ to kahne ko bahār aatī rahī jaatī rahī
koī pūchhe ki chaman us ne sañvāre kitne
inqalāb aane ko duniyā meñ hai aa jaane do
phir ubharne ko haiñ Duube hue taare kitne
maiñ abhī kah duuñ to kaunain meñ halchal paḌ jaa.e
haiñ mirī chashm-e-tasavvur meñ nazāre kitne
maut aur ziist ke khāyā kiye kyā kyā na fareb
zindagī ke the ye dilchasp nazāre kitne
zarf darkār hai ai dost mohabbat ke liye
kar liye dil hī ne ḳhud jazb sharāre kitne
kaash hotā koī mahfil meñ samajhne vaalā
the latīf un kī nigāhoñ ke ishāre kitne
ho mubārak tumheñ sair-e-mah-o-anjum lekin
is meñ haiñ aah ġharībāñ ke sharāre kitne
mo'tarif ham bhī haiñ 'muslim' kī ġhazal-goī ke
saaf bandish hai mazāmīn haiñ pyāre kitne
gham-e-ulfat ke manazir bhi hain pyare kitne
ashk Tapke to bane chand sitare kitne
umr bhar TuTe hain bandh bandh ke sahaare kitne
kaam aate rahe hamdard hamare kitne
yahi jina hai to phir maut kise kahte hain
ji rahe hain gham-o-andoh ke mare kitne
yun to kahne ko bahaar aati rahi jati rahi
koi puchhe ki chaman us ne sanware kitne
inqalab aane ko duniya mein hai aa jaane do
phir ubharne ko hain Dube hue tare kitne
main abhi kah dun to kaunain mein halchal paD jae
hain meri chashm-e-tasawwur mein nazare kitne
maut aur zist ke khaya kiye kya kya na fareb
zindagi ke the ye dilchasp nazare kitne
zarf darkar hai ai dost mohabbat ke liye
kar liye dil hi ne KHud jazb sharare kitne
kash hota koi mahfil mein samajhne wala
the latif un ki nigahon ke ishaare kitne
ho mubarak tumhein sair-e-mah-o-anjum lekin
is mein hain aah ghariban ke sharare kitne
mo'tarif hum bhi hain 'muslim' ki ghazal-goi ke
saf bandish hai mazamin hain pyare kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.