gham-e-zist humse liya jae na
ġham-e-zīst ham se liyā jaa.e nā
binā ġham bhī lekin jiyā jaa.e nā
tirī mast āñkhoñ ne baḳhshā surūr
ki ab mai kā pyāla piyā jaa.e nā
ināyat hai ġhairoñ pe har dam tirī
sitam bhī to ham par kiyā jaa.e nā
karam chāhtā huuñ faqat tujh se maiñ
sahārā kisī kā liyā jaa.e nā
diye zaḳhm yādoñ ne dil par bahut
javāb ham se lekin diyā jaa.e nā
'asad' aap kī hai nirālī adā
ki dushman ko bhī dam diyā jaa.e nā
gham-e-zist hum se liya jae na
bina gham bhi lekin jiya jae na
teri mast aankhon ne baKHsha surur
ki ab mai ka pyala piya jae na
inayat hai ghairon pe har dam teri
sitam bhi to hum par kiya jae na
karam chahta hun faqat tujh se main
sahaara kisi ka liya jae na
diye zaKHm yaadon ne dil par bahut
jawab hum se lekin diya jae na
'asad' aap ki hai nirali ada
ki dushman ko bhi dam diya jae na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.