gham-e-zindagi tere roz-o-shab se hai silsila nai dhup ka
ġham-e-zindagī tire roz-o-shab se hai silsila na.ī dhuup kā
tujhe ho ḳhabar mire dard se bhī hai rābta na.ī dhuup kā
mirī manziloñ ko ḳhabar karo unheñ raushnī kī naved ho
mire dar pe aa ke banā gayā koī rāsta na.ī dhuup kā
shab-e-intizār ajiib thī mirī raat āñkhoñ meñ kaT ga.ī
sar-e-shām kaun ye de gayā mujhe indiya na.ī dhuup kā
ye jo husn-o-ishq kā raaz hai ye nigāh-e-rab kā majāz hai
koī muntazir ghanī chhāñv kā koī mubtalā na.ī dhuup kā
koī chaap uThī na koī sadā koī ḳhāmushī se palaT gayā
mire ghar ke aage rukā to thā koī qāfila na.ī dhuup kā
mere sahn meñ jo daraḳht hai use tā.eroñ se bhī rabt hai
vahīñ surma.ī se paroñ ke biich vo tahlaka na.ī dhuup kā
ye jo Daalī Daalī sañvar ga.ī koī badlī khul ke baras ga.ī
hai tabhī se dekho ajiib sā nayā tantana na.ī dhuup kā
chalo ġhāza vaqt kā chal gayā koī shaam chehre pe mal gayā
mirī albumoñ meñ kahīñ kahīñ koī zikr thā na.ī dhuup kā
mujhe pichhlī shab kī ḳhunuk ravī ne hī sub.h-dam ye shunīd dī
maiñ dhanak kī oḌh ke oḌhnī karūñ nāshta na.ī dhuup kā
mire bām-o-dil ko sajā.egī ki ye kore ḳhvāb jalā.egī
chalo aaj 'sīmā' isī pe ham kareñ tasfiya na.ī dhuup kā
gham-e-zindagi tere roz-o-shab se hai silsila nai dhup ka
tujhe ho KHabar mere dard se bhi hai rabta nai dhup ka
meri manzilon ko KHabar karo unhen raushni ki nawed ho
mere dar pe aa ke bana gaya koi rasta nai dhup ka
shab-e-intizar ajib thi meri raat aankhon mein kaT gai
sar-e-sham kaun ye de gaya mujhe indiya nai dhup ka
ye jo husn-o-ishq ka raaz hai ye nigah-e-rab ka majaz hai
koi muntazir ghani chhanw ka koi mubtala nai dhup ka
koi chap uThi na koi sada koi KHamushi se palaT gaya
mere ghar ke aage ruka to tha koi qafila nai dhup ka
mere sahn mein jo daraKHt hai use taeron se bhi rabt hai
wahin surmai se paron ke bich wo tahlaka nai dhup ka
ye jo Dali Dali sanwar gai koi badli khul ke baras gai
hai tabhi se dekho ajib sa naya tantana nai dhup ka
chalo ghaza waqt ka chal gaya koi sham chehre pe mal gaya
meri albumon mein kahin kahin koi zikr tha nai dhup ka
mujhe pichhli shab ki KHunuk rawi ne hi subh-dam ye shunid di
main dhanak ki oDh ke oDhni karun nashta nai dhup ka
mere baam-o-dil ko sajaegi ki ye kore KHwab jalaegi
chalo aaj 'sima' isi pe hum karen tasfiya nai dhup ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.