gham gawara bhi nahin gham se kinara bhi nahin
ġham gavārā bhī nahīñ ġham se kinārā bhī nahīñ
aur is zindagī-e-ishq se chārā bhī nahīñ
kis ne ulTī hai ye apne ruḳh-e-tābāñ se naqāb
chāñd to chāñd falak par koī taarā bhī nahīñ
maiñ unheñ apnā kahūñ maslihateñ us ke ḳhilāf
vo mujhe ġhair samajh leñ ye gavārā bhī nahīñ
kyā kiyā haa.e ye ehsās-e-ḳhud-āgāhī ne
ab vahāñ huuñ ki jahāñ rah ke tumhārā bhī nahīñ
jaane kyā baat samajh leñge 'hayāt' us ko vo
ham ne is ḳhauf se un ko to pukārā bhī nahīñ
gham gawara bhi nahin gham se kinara bhi nahin
aur is zindagi-e-ishq se chaara bhi nahin
kis ne ulTi hai ye apne ruKH-e-taban se naqab
chand to chand falak par koi tara bhi nahin
main unhen apna kahun maslihaten us ke KHilaf
wo mujhe ghair samajh len ye gawara bhi nahin
kya kiya hae ye ehsas-e-KHud-agahi ne
ab wahan hun ki jahan rah ke tumhaara bhi nahin
jaane kya baat samajh lenge 'hayat' us ko wo
hum ne is KHauf se un ko to pukara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.