gham-gusari ka hai aalam dur tak
ġham-gusārī kā hai aalam duur tak
ghaas par phailī hai shabnam duur tak
ek hī jaisī fazā hai chār-sū
ek hī jaisā hai mausam duur tak
zaḳhm apne dekh kar zāhir huā
bāñTtā hai koī marham duur tak
chheḌtī hai be-ḳhudī ke silsile
shab ke sannāToñ meñ sargam duur tak
apne mustaqbil se hote bā-ḳhabar
dekh paate kaash jo ham duur tak
sāhil-o-dariyā ko 'ḳhanda' kyā likhūñ
dekhtī huuñ koī sañgam duur tak
gham-gusari ka hai aalam dur tak
ghas par phaili hai shabnam dur tak
ek hi jaisi faza hai chaar-su
ek hi jaisa hai mausam dur tak
zaKHm apne dekh kar zahir hua
banTta hai koi marham dur tak
chheDti hai be-KHudi ke silsile
shab ke sannaTon mein sargam dur tak
apne mustaqbil se hote ba-KHabar
dekh pate kash jo hum dur tak
sahil-o-dariya ko 'KHanda' kya likhun
dekhti hun koi sangam dur tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.