gham hai ek bojh jise dil pe uThae rakhiye
gham hai ek bojh jise dil pe uThae rakhiye
Mohammad Afsar Raunqi
MORE BYMohammad Afsar Raunqi
ġham hai ik bojh jise dil pe uThā.e rakhiye
azmat-e-ishq kī tauqīr baḌhā.e rakhiye
TuuT kar aañkh se miTTī meñ na mil jaa.eñ kahīñ
ashk-e-ġham haiñ inheñ dāman pe sajā.e rakhiye
be-ruḳhī un kī mohabbat meñ badal jā.egī
sham-e-umīd abhī dil meñ jalā.e rakhiye
dāman-e-zabt na chhuT jaa.e kahīñ hāthoñ se
ashk-e-ġham ko yūñhī palkoñ meñ chhupā.e rakhiye
un kā baḳhshā huā har zaḳhm hai ne.amat 'afsar'
un ke har tiir ko siine se lagā.e rakhiye
gham hai ek bojh jise dil pe uThae rakhiye
azmat-e-ishq ki tauqir baDhae rakhiye
TuT kar aankh se miTTi mein na mil jaen kahin
ashk-e-gham hain inhen daman pe sajae rakhiye
be-ruKHi un ki mohabbat mein badal jaegi
sham-e-umid abhi dil mein jalae rakhiye
daman-e-zabt na chhuT jae kahin hathon se
ashk-e-gham ko yunhi palkon mein chhupae rakhiye
un ka baKHsha hua har zaKHm hai neamat 'afsar'
un ke har tir ko sine se lagae rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.