gham hansi mein chhupa diya hoga
ġham hañsī meñ chhupā diyā hogā
chashm-e-nam ne batā diyā hogā
bhuul jaane kī us ko aadat thī
us ne mujh ko bhulā diyā hogā
ek ḳhat thā subūt chāhat kā
vo bhī us ne jalā diyā hogā
raat chupke se le uḌī thī havā
raaz dil kā batā diyā hogā
hijr ke maare dil ko bhī us ne
jaane kaise sulā diyā hogā
phir bulāyā hai aaj nāseh ne
gul kisī ne khilā diyā hogā
hai yaqīñ mujh ko zikr par mere
vo faqat muskurā diyā hogā
gham hansi mein chhupa diya hoga
chashm-e-nam ne bata diya hoga
bhul jaane ki us ko aadat thi
us ne mujh ko bhula diya hoga
ek KHat tha subut chahat ka
wo bhi us ne jala diya hoga
raat chupke se le uDi thi hawa
raaz dil ka bata diya hoga
hijr ke mare dil ko bhi us ne
jaane kaise sula diya hoga
phir bulaya hai aaj naseh ne
gul kisi ne khila diya hoga
hai yaqin mujh ko zikr par mere
wo faqat muskura diya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.