gham hi gham hain KHushi ke parde mein
ġham hī ġham haiñ ḳhushī ke parde meñ
maut hai zindagī ke parde meñ
ārzūeñ sisaktī rahtī haiñ
merī tishna-labī ke parde meñ
kār-farmā haiñ hādse lākhoñ
merī dariyā-dilī ke parde meñ
ab tamannāoñ ke hasīñ taa.ir
haiñ mirī be-kasī ke parde meñ
kis kī ḳhushbū chaman chaman hai 'asīr'
kaun hai raushnī ke parde meñ
gham hi gham hain KHushi ke parde mein
maut hai zindagi ke parde mein
aarzuen sisakti rahti hain
meri tishna-labi ke parde mein
kar-farma hain hadse lakhon
meri dariya-dili ke parde mein
ab tamannaon ke hasin tair
hain meri be-kasi ke parde mein
kis ki KHushbu chaman chaman hai 'asir'
kaun hai raushni ke parde mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.