gham ho ki KHushi koi tamasha nahin karte
ġham ho ki ḳhushī koī tamāshā nahīñ karte
kuchh log kisī baat kā charchā nahīñ karte
be-vaj.h to hotī nahīñ āñgan kī ḳhamoshī
bachchoñ ko har ik baat pe Tokā nahīñ karte
insān kī fitrat kā ajab haal hai yaaro
kuchh peḌ ghane hote haiñ saaya nahīñ karte
ik umr gañvā.ī hai usī moḌ pe ham ne
pal bhar ko musāfir jahāñ Thahrā nahīñ karte
ham teġh-o-sipar chhīn liyā karte haiñ 'anjum'
zālim se kabhī zulm kā shikva nahīñ karte
gham ho ki KHushi koi tamasha nahin karte
kuchh log kisi baat ka charcha nahin karte
be-wajh to hoti nahin aangan ki KHamoshi
bachchon ko har ek baat pe Toka nahin karte
insan ki fitrat ka ajab haal hai yaro
kuchh peD ghane hote hain saya nahin karte
ek umr ganwai hai usi moD pe hum ne
pal bhar ko musafir jahan Thahra nahin karte
hum tegh-o-sipar chhin liya karte hain 'anjum'
zalim se kabhi zulm ka shikwa nahin karte
- Book : سکوت دشت (Pg. 74)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.