gham jab un ka diya hua gham hai
ġham jab un kā diyā huā ġham hai
haif us aañkh par jo pur-nam hai
dil kī āvāz laakh maddham hai
dil kī āvāz meñ baḌā dam hai
zindagī meñ sukūn ke tālib
zindagī ḳhud hī mustaqil ġham hai
un ke jaate hī ye huā mahsūs
jaise tāroñ meñ raushnī kam hai
chain hai tark-e-ārzū ke ba.ad
ārzūoñ kā naam hī ġham hai
har nafas maḳhzan-e-alam hai 'ra.īs'
shukr hai umr-e-ādmī kam hai
gham jab un ka diya hua gham hai
haif us aankh par jo pur-nam hai
dil ki aawaz lakh maddham hai
dil ki aawaz mein baDa dam hai
zindagi mein sukun ke talib
zindagi KHud hi mustaqil gham hai
un ke jate hi ye hua mahsus
jaise taron mein raushni kam hai
chain hai tark-e-arzu ke baad
aarzuon ka nam hi gham hai
har nafas maKHzan-e-alam hai 'rais'
shukr hai umr-e-admi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.