gham jo bikhre to kaenat hue
ġham jo bikhre to kā.enāt hue
aur simTe to merī zaat hue
ham se hī arz-e-mudda.ā na huā
jab vo mā.il-ba-iltifāt hue
muddatoñ se duā salām nahīñ
muddateñ ho ga.ī haiñ baat hue
jo bhī guzrī guzar ga.ī ham par
rūnumā phir na hādsāt hue
ham ne paa.ī vafā kī daad 'ziyā'
jab bhī maazī ke vāqi.āt hue
gham jo bikhre to kaenat hue
aur simTe to meri zat hue
hum se hi arz-e-muddaa na hua
jab wo mail-ba-iltifat hue
muddaton se dua salam nahin
muddaten ho gai hain baat hue
jo bhi guzri guzar gai hum par
runuma phir na hadsat hue
hum ne pai wafa ki dad 'ziya'
jab bhi mazi ke waqiat hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.