gham ka iblagh ba-ehsas-e-tarab chahti hai
ġham kā iblāġh ba-ehsās-e-tarab chāhtī hai
baat vo hai ki adā hone ko Dhab chāhtī hai
ek to paas mire dirham-o-dīñ kuchh bhī nahīñ
dūsrā shūmī-e-qismat ki vo sab chāhtī hai
maiñ ki huuñ mausam-e-gul hujjat-e-zanjīr-ba-pā
vo to ḳhushbū hai chalī aatī hai jab chāhtī hai
kis ke aañsū haiñ jo āñkhoñ kī rasad chāhte haiñ
baat sī jī meñ ye kis ke hai jo lab chāhtī hai
maiñ bhaTak kar bhī tire ḳhvāb meñ aaya na kabhī
aur kyā mujh se tirī ḳhalvat-e-shab chāhtī hai
maiñ na kahtā thā ki itnā na karā kasb-e-junūñ
tujhe rone ko bhī ab aañkh sabab chāhtī hai
gham ka iblagh ba-ehsas-e-tarab chahti hai
baat wo hai ki ada hone ko Dhab chahti hai
ek to pas mere dirham-o-din kuchh bhi nahin
dusra shumi-e-qismat ki wo sab chahti hai
main ki hun mausam-e-gul hujjat-e-zanjir-ba-pa
wo to KHushbu hai chali aati hai jab chahti hai
kis ke aansu hain jo aankhon ki rasad chahte hain
baat si ji mein ye kis ke hai jo lab chahti hai
main bhaTak kar bhi tere KHwab mein aaya na kabhi
aur kya mujh se teri KHalwat-e-shab chahti hai
main na kahta tha ki itna na kara kasb-e-junun
tujhe rone ko bhi ab aankh sabab chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.