gham-kade wo jo tere gam se jal uThte hain
ġham-kade vo jo tire gaam se jal uThte haiñ
but-kade vo jo mire naam se jal uThte haiñ
raat tārīk sahī merī taraf to dekho
kitne mahtāb abhī jaam se jal uThte haiñ
raat ke dard ko kuchh aur baḌhāne ke liye
ham se kuchh soḳhta-jāñ shaam se jal uThte haiñ
maiñ agar dost nahīñ sab kā to dushman bhī nahīñ
kyuuñ magar log mire naam se jal uThte haiñ
gham-kade wo jo tere gam se jal uThte hain
but-kade wo jo mere nam se jal uThte hain
raat tarik sahi meri taraf to dekho
kitne mahtab abhi jam se jal uThte hain
raat ke dard ko kuchh aur baDhane ke liye
hum se kuchh soKHta-jaan sham se jal uThte hain
main agar dost nahin sab ka to dushman bhi nahin
kyun magar log mere nam se jal uThte hain
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 201)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.