gham kamai se chal raha hai dil
ġham kamā.ī se chal rahā hai dil
kis DhiTā.ī se chal rahā hai dil
aap aa.e to mujh ko aisā lagā
ḳhush-numā.ī se chal rahā hai dil
varna andar se kuchh nahīñ baaqī
ḳhud-numā.ī se chal rahā hai dil
terā milnā shifā kā baa.is hai
is davā.ī se chal rahā hai dil
ishq meñ hijr kā sahārā hai
piir bhaa.ī se chal rahā hai dil
hijr ne daaġh dho.e āñkhoñ ke
is safā.ī se chal rahā hai dil
ġham ne khole qafas ki dar mujh pe
is rihā.ī se chal rahā hai dil
gham kamai se chal raha hai dil
kis DhiTai se chal raha hai dil
aap aae to mujh ko aisa laga
KHush-numai se chal raha hai dil
warna andar se kuchh nahin baqi
KHud-numai se chal raha hai dil
tera milna shifa ka bais hai
is dawai se chal raha hai dil
ishq mein hijr ka sahaara hai
pir bhai se chal raha hai dil
hijr ne dagh dhoe aankhon ke
is safai se chal raha hai dil
gham ne khole qafas ki dar mujh pe
is rihai se chal raha hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.