gham ke baadal agar chhaTe hue the
ġham ke bādal agar chhaTe hue the
baal miTTī meñ kyoñ aTe hue the
shā'irī dost ranj ghar daftar
kitne hissoñ meñ ham baTe hue the
maiñ 'alam-dār thā 'alam thāmā
chāhe baazū mire kaTe hue the
saarā manzar hamārā manzar thā
aur manzar se ham haTe hue the
'mīr' sāhib kā thā shaġhaf us ko
she'r ham ne bhī sab raTe hue the
jān-levā usuul the yāram
jin pe ham be-sabab DaTe hue the
jo qadāmat-parast the 'ārif'
apne kirdār meñ ghaTe hue the
gham ke baadal agar chhaTe hue the
baal miTTi mein kyon aTe hue the
sha'iri dost ranj ghar daftar
kitne hisson mein hum baTe hue the
main 'alam-dar tha 'alam thama
chahe bazu mere kaTe hue the
sara manzar hamara manzar tha
aur manzar se hum haTe hue the
'mir' sahib ka tha shaghaf us ko
she'r hum ne bhi sab raTe hue the
jaan-lewa usul the yaram
jin pe hum be-sabab DaTe hue the
jo qadamat-parast the 'arif'
apne kirdar mein ghaTe hue the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.