gham ke baadal hain ye Dhal jaenge rafta rafta
ġham ke bādal haiñ ye Dhal jā.eñge rafta rafta
diip har gaam pe jal jā.eñge rafta rafta
ābla-pā.ī hī kaafī hai tirā raḳht-e-safar
ḳhaar ḳhud gul meñ badal jā.eñge rafta rafta
tuur par aa ke zarā aap uThā.eñ to naqāb
sañg-e-dil ban ke pighal jā.eñge rafta rafta
chashm-e-sāqī se kahāñ pī hai ki gir kar na uTheñ
jaam se pī hai sambhal jā.eñge rafta rafta
na sahī vasl koī vasl kā va.ada to kare
ham to is par hī bahal jā.eñge rafta rafta
gham ke baadal hain ye Dhal jaenge rafta rafta
dip har gam pe jal jaenge rafta rafta
aabla-pai hi kafi hai tera raKHt-e-safar
KHar KHud gul mein badal jaenge rafta rafta
tur par aa ke zara aap uThaen to naqab
sang-e-dil ban ke pighal jaenge rafta rafta
chashm-e-saqi se kahan pi hai ki gir kar na uThen
jam se pi hai sambhal jaenge rafta rafta
na sahi wasl koi wasl ka wada to kare
hum to is par hi bahal jaenge rafta rafta
- Book : Salsabeel (Pg. 34)
- Author : Ahmed Shahid Khan
- Publication : Ahmed Shahid Khan, Dep. Electronics Enginering (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.