gham ke daman mein KHushi achchhi lagi
ġham ke dāman meñ ḳhushī achchhī lagī
thā añdherā raushnī achchhī lagī
maut ko dekhā jo apne sāmne
aaj mujh ko zindagī achchhī lagī
dostoñ se is qadar khaa.e fareb
dushmanoñ kī dushmanī achchhī lagī
ban gayā merā tamāsha gar to kyā
un ke hoñToñ par hañsī achchhī lagī
kah diyā sheroñ meñ 'rūbī' hāl-e-dil
vo ye bole shā.irī achchhī lagī
gham ke daman mein KHushi achchhi lagi
tha andhera raushni achchhi lagi
maut ko dekha jo apne samne
aaj mujh ko zindagi achchhi lagi
doston se is qadar khae fareb
dushmanon ki dushmani achchhi lagi
ban gaya mera tamasha gar to kya
un ke honTon par hansi achchhi lagi
kah diya sheron mein 'rubi' haal-e-dil
wo ye bole shairi achchhi lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.