gham ke lamhon mein kisi tarah qarar aa jae
ġham ke lamhoñ meñ kisī tarah qarār aa jaa.e
aaj pī lete haiñ itnī ki ḳhumār aa jaa.e
kaash vo merī taraf aisī nazar se dekheñ
mere vīrān gulistāñ meñ bahār aa jaa.e
ham isī aas pe jiite rahe ik umr talak
vo karam-bār hoñ shāyad unheñ pyaar aa jaa.e
mujh ko hai ḳhauf ki aisā na ho ai dost kahīñ
merī jānib se tire dil meñ ġhubār aa jaa.e
kaash bedār hoñ tūfān meñ jazbāt tire
kaash phir terī mohabbat meñ nikhār aa jaa.e
gham ke lamhon mein kisi tarah qarar aa jae
aaj pi lete hain itni ki KHumar aa jae
kash wo meri taraf aisi nazar se dekhen
mere viran gulistan mein bahaar aa jae
hum isi aas pe jite rahe ek umr talak
wo karam-bar hon shayad unhen pyar aa jae
mujh ko hai KHauf ki aisa na ho ai dost kahin
meri jaanib se tere dil mein ghubar aa jae
kash bedar hon tufan mein jazbaat tere
kash phir teri mohabbat mein nikhaar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.