gham ke sanche mein Dhalti rahi soniya
ġham ke sāñche meñ Dhaltī rahī 'soniyā'
phir bhī chup-chāp chaltī rahī 'soniyā'
apne purkhoñ kī dahlīz par raat din
ik diyā ban ke jaltī rahī 'soniyā'
azm-o-himmat se kāñToñ pe chalte hue
apnī qismat badaltī rahī 'soniyā'
haar kar log aage nikalte rahe
jiit kar haath maltī rahī 'soniyā'
har qadam par qadam Dagmagāte rahe
phir bhī aksar sañbhaltī rahī 'soniyā'
aks kā aks thā aks ke sāmne
jis ke dil meñ machaltī rahī 'soniyā'
gham ke sanche mein Dhalti rahi 'soniya'
phir bhi chup-chap chalti rahi 'soniya'
apne purkhon ki dahliz par raat din
ek diya ban ke jalti rahi 'soniya'
azm-o-himmat se kanTon pe chalte hue
apni qismat badalti rahi 'soniya'
haar kar log aage nikalte rahe
jit kar hath malti rahi 'soniya'
har qadam par qadam Dagmagate rahe
phir bhi aksar sanbhalti rahi 'soniya'
aks ka aks tha aks ke samne
jis ke dil mein machalti rahi 'soniya'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.