gham ki tafsir mere hath mein hai
ġham kī tafsīr mere haath meñ hai
us kī tahrīr mere haath meñ hai
apnī qismat se kyoñ na laḌ jā.ūñ
merī tadbīr mere haath meñ hai
ḳhvāb aise sunā rahe haiñ aap
jaise tā'bīr mere haath meñ hai
TūTtī hai na zañg khātī hai
kaisī zanjīr mere haath meñ hai
ab nazāroñ meñ kuchh nahīñ rakkhā
terī tasvīr mere haath meñ hai
merī taqdīr meñ nahīñ hai to
terī taqdīr mere haath meñ hai
gham ki tafsir mere hath mein hai
us ki tahrir mere hath mein hai
apni qismat se kyon na laD jaun
meri tadbir mere hath mein hai
KHwab aise suna rahe hain aap
jaise ta'bir mere hath mein hai
TuTti hai na zang khati hai
kaisi zanjir mere hath mein hai
ab nazaron mein kuchh nahin rakkha
teri taswir mere hath mein hai
meri taqdir mein nahin hai to
teri taqdir mere hath mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.