gham-KHwar hain jo un ka chalan dekh raha hun
ġham-ḳhvār haiñ jo un kā chalan dekh rahā huuñ
bechainī-e-arbāb-e-vatan dekh rahā huuñ
bigḌā huā duniyā kā chalan dekh rahā huuñ
lipTā huā sho'loñ meñ vatan dekh rahā huuñ
kis falsafa-e-zīst ko siine se lagā.ūñ
har laash ko be-gor-o-kafan dekh rahā huuñ
ab baar hai ehsās-e-masarrat rag-e-jāñ par
dekhe nahīñ jo ranj-o-mehan dekh rahā huuñ
gāñdhī kā vo paiġhām-e-mohabbat-o-uḳhuvvat
ujḌā huā gāñdhī kā chaman dekh rahā huuñ
gham-KHwar hain jo un ka chalan dekh raha hun
bechaini-e-arbab-e-watan dekh raha hun
bigDa hua duniya ka chalan dekh raha hun
lipTa hua sho'lon mein watan dekh raha hun
kis falsafa-e-zist ko sine se lagaun
har lash ko be-gor-o-kafan dekh raha hun
ab bar hai ehsas-e-masarrat rag-e-jaan par
dekhe nahin jo ranj-o-mehan dekh raha hun
gandhi ka wo paigham-e-mohabbat-o-uKHuwwat
ujDa hua gandhi ka chaman dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.