gham ki tha harif-e-jaan ab harif-e-jaanan hai
ġham ki thā harīf-e-jāñ ab harīf-e-jānāñ hai
ab vo zulf barham hai ab vo chashm giryāñ hai
vus.atoñ meñ dāman kī in dinoñ garebāñ hai
ham-nafas kahīñ shāyad mausam-e-bahārāñ hai
rang-o-bū ke parde meñ kaun ye ḳhirāmāñ hai
har nafas mo.attar hai har nazar gulistāñ hai
dair kyā haram kyā hai bandagī ye kyā jaane
ham jahāñ pe haiñ vaa.iz kufr hai na īmāñ hai
shukriya magar nāseh tū ye 'rāz' kyā jaane
jaur barmalā un kā iltifāt pinhāñ hai
gham ki tha harif-e-jaan ab harif-e-jaanan hai
ab wo zulf barham hai ab wo chashm giryan hai
wusaton mein daman ki in dinon gareban hai
ham-nafas kahin shayad mausam-e-bahaaran hai
rang-o-bu ke parde mein kaun ye KHiraman hai
har nafas moattar hai har nazar gulistan hai
dair kya haram kya hai bandagi ye kya jaane
hum jahan pe hain waiz kufr hai na iman hai
shukriya magar naseh tu ye 'raaz' kya jaane
jaur barmala un ka iltifat pinhan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.