gham ki andheri raat ki jaane sahar na aae kyon
ġham kī añdherī raat kī jaane sahar na aa.e kyoñ
pahroñ jale kisī kā dil zaḳhm ubhar na aa.e kyoñ
apne parā.e ho ga.e ġhairoñ ne bhī kiyā sitam
aise meñ dardmand dil dard se bhar na aa.e kyoñ
terā hī jab ḳhayāl hai āThoñ pahar dimāġh meñ
jāgte sote har taraf tū hī nazar na aa.e kyoñ
tere binā ab ek pal mujh se rahā na jaa.e hai
DhūñDe tujhe mirī nazar terī ḳhabar na aa.e kyoñ
husn-o-jamāl dil-fareb us pe ye sādgī to dost
aql tirī adāoñ ke zer-e-asar na aa.e kyoñ
sehn-e-chaman meñ vaise to gul haiñ har ek rang ke
tere sivā kisī pe bhī dil ye magar na aa.e kyoñ
ḳhud hī adāvatoñ kā biij boyā hai aap ne to phir
kiina nifāq-o-buġhz kā us meñ samar na aa.e kyoñ
apne karam kī raushnī us ne bikher dī to 'shād'
rang hamāre baḳht kā bolo nikhar na aa.e kyoñ
gham ki andheri raat ki jaane sahar na aae kyon
pahron jale kisi ka dil zaKHm ubhar na aae kyon
apne parae ho gae ghairon ne bhi kiya sitam
aise mein dardmand dil dard se bhar na aae kyon
tera hi jab KHayal hai aaThon pahar dimagh mein
jagte sote har taraf tu hi nazar na aae kyon
tere bina ab ek pal mujh se raha na jae hai
DhunDe tujhe meri nazar teri KHabar na aae kyon
husn-o-jamal dil-fareb us pe ye sadgi to dost
aql teri adaon ke zer-e-asar na aae kyon
sehn-e-chaman mein waise to gul hain har ek rang ke
tere siwa kisi pe bhi dil ye magar na aae kyon
KHud hi adawaton ka bij boya hai aap ne to phir
kina nifaq-o-bughz ka us mein samar na aae kyon
apne karam ki raushni us ne bikher di to 'shad'
rang hamare baKHt ka bolo nikhar na aae kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.