gham ki chadar oDh kar soe the kya
ġham kī chādar oḌh kar so.e the kyā
raat bhar mere liye ro.e the kyā
chādar-e-ismat ke dhabbe aap ne
raat pī kar sub.h-dam dho.e the kyā
maiñ ne pūchhā un se ik saada savāl
ḳhaar merī raah meñ bo.e the kyā
DhūñDte phirte ho ḳhud ko 'nāzukī'
inhī galiyoñ meñ kabhī kho.e the kyā
gham ki chadar oDh kar soe the kya
raat bhar mere liye roe the kya
chadar-e-ismat ke dhabbe aap ne
raat pi kar subh-dam dhoe the kya
main ne puchha un se ek sada sawal
KHar meri rah mein boe the kya
DhunDte phirte ho KHud ko 'nazuki'
inhi galiyon mein kabhi khoe the kya
- Book : Lafz Lafz Noha (Pg. 42)
- Publication : Tabish PublicationsM, Srinagar (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.